Zindagi ka Yeh Mod
Zindagi is mod pe aakar
kuch thahar si gaayi hai.
Alag alag raaste bhi hai,
aur unki apni apni manzilein bhi.
Sab saamne hai, sab khule hai,
bas chah nahin to chah nahin chun nein ki.
Jaane kyon is mod pe aakar
zindagi kuch thahar si gayi hai.
Na baandhe hai mujhe koi bediyan,
na ghere hai mujhe koi samasyaon ka jaal.
Phir bhi jaane kyon is mod pe
zindagi kuch jakad se gayi hai.
Tum bhi ho aur main bhi hoon
aur shayad se woh pyaar bhi.
Lekin kuch hai jo nahin hai,
ya shaayad se kuch tha hi nahin.
Jaane kyon yeh maansikta
mere mann mein simat si gayi hai.
Zindagi is mod pe aakar,
kuch tahar si gaayi hai.